Celebrating the 76th Republic Day: A Historic Celebration of India’s Strength and Unity
Aaj, 26th January 2025 ko, hum apni 76th Republic Day manane
ja rahe hain. Yeh din humare liye sirf ek national holiday nahi, balki apne
desh ki azaadi, virasat aur un sapno ka din hai jo humare freedom fighters ne
dekhe the. 1950 mein apni Constitution ko apnaane ke baad, India ne apne aapko
ek republic banaya, aur yeh din humare desh ki un nayi soch aur vision ko
darshata hai, jo hum har saal apne celebrations mein dekhte hain.
Theme of 76th Republic Day: "Swarnim Bharat: Virasat
aur Vikas"
Is saal, 76th Republic Day ka theme hai "Swarnim
Bharat: Virasat aur Vikas" (Golden India: Heritage and Development).
Yeh theme humare desh ki rich cultural heritage aur rapid development ko
highlight karta hai. Humare desh ne apni virasat ko sambhalte hue naye heights
par bhi apne aap ko establish kiya hai. Yeh theme humare desh ke historic
evolution aur modern progress ko darshata hai.
Special Guest: President of Indonesia, Prabowo Subianto
Is saal ke Republic Day ke special guest hain President
Prabowo Subianto, Indonesia ke rashtrapati. Yeh unki pehli India ki visit
hai, aur yeh humare bilateral relations ko mazboot banane ka ek important
moment hai. Yeh event humare desh aur Indonesia ke beech ke gehre sambandhon ko
celebrate karta hai.
Gauratab hai ki, 1950 mein India ke pehle Republic
Day par bhi Indonesia ke rashtrapati Sukarno chief guest ke roop mein
shaamil hue the, aur iss baar bhi Indonesia ka presence humare purane aur gehre
sambandhon ko darshata hai.
Indonesian Military Contingent in the Republic Day Parade
Is saal, Indonesia ka military contingent bhi
Republic Day Parade mein hissa le raha hai. Yeh ek historical moment hai,
kyunki pehli baar Indonesian army ka contingent parade mein shaamil ho raha
hai. Yeh humare defence relations aur Indo-Indonesian ties ko further
strengthen karta hai. Indonesian contingent ka participation ek symbol hai dono
deshon ke beech growing defence and military cooperation ka.
Parade mein Indonesia ki military academy ki contingent
bhi hissa le rahi hai, jo humare bilateral military cooperation ko darshata
hai.
Rajpath Par Parade: Desh Ki Shaan
Yeh parade humare desh ki virasat, military power, aur
cultural diversity ka ek adbhut showcase hai. Pehli baar, three armed forces
ki joint tableau ‘Swarnim Bharat: Virasat aur Vikas’ theme ke saath
pradarshit ki jayegi. Yeh tableau Indian armed forces ke beech ki unity aur
coordination ko dikhayega, jo humare desh ko ek strong aur secure position mein
le ja raha hai.
Republic Day Parade Ki Special Highlights
- Prime
Minister Narendra Modi parades ki shuruaat se pehle National War
Memorial par shaheedon ko shraddhanjali denge aur unke balidan ko yaad
karenge.
- Parade
mein 300 cultural artists traditional instruments par "Sare
Jahan Se Achha" ki dhun bajayenge.
- 16
states aur Union Territories aur 10 central ministries ki tableaux
“Swarnim Bharat: Virasat aur Vikas” ke theme par based hain, jo
humare rich cultural heritage aur development ko highlight karegi.
- Helicopter
fly-past mein MI-17 helicopters flowers fallayenge.
- Women’s
participation bhi is baar special focus mein hai, jahan humare women
officers “Nari Shakti” ka pradarshan karenge.
- Indigenous
warships aur Rafale, Sukhoi-30, Apache helicopters ki fly-past
bhi parade ka ek major attraction hogi.
- 61st
Cavalry Horse Cavalry parade ka leadership karega, aur T-90 tanks,
BrahMos missiles, aur Pinaka rocket systems bhi showcase
kiye jayenge.
Aaj Se, Behtar Kal Ki Taraf
76 saal ki iss journey mein, India ne kayi challenges face
kiye hain, lekin har challenge ko humne milke overcome kiya. Aaj, hum apne desh
ko naye heights tak le jaane ke liye tayar hain. Humari generation ka goal yeh
hona chahiye ki hum apni zindagi mein change laayein aur apne country ko aur
behtar banayein. Humare liye har chhoti aur badi action important hai, jo ek
better tomorrow ke liye ho.
Happy 76th Republic Day! Jai Hind!
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें